Murghon me infectious Bronchitis disease
Infectious Bronchitis murghon me hony wali ak common disease hai . Jo k ak viral disease hai.
Infectious Bronchitis
Infectious Bronchitis ek common bemari hai jo murghon ko ho skti hai. Ye bemari ak virus ki waja se hoti hai jo birds k respiratory system ko effect krta hai. Is bemari ki waja se murghon ko khansi , sardi aur saans lany me mushkil hoti hai. Ye ak viral bemari hai to ye ak bird se dusry bird ko ho skti hai is leay infected bird ko healthy birds se alg kr lain.
Symptoms
Khansi: Murghon ko khansi ho skti hai , jo k dry , harsh khansi ho skti hai.
Sardi: Murghon ko srdi ho skti hai , jo k runny nose ya sinus infection ki tarah ho skti hai.
Saans lene me problem: Birds ko saans lene me problem ho skti hai , jo k wheezing ya coughing ki trhan ho skti hai.
Thakawat: Murghon ko thakawat mehsoos ho skti hai jo unki physical activity ko affect kr skti hai.
Bhukh me kami: Murghon ko bhukh na lgna ya km khana khana , jo k unki sehat ko affect kr skta hai.
Pani ki kami: Birds ko pani ki kami ho skti hai jo unki dehydration ko brha skta hai.
Vomiting: Murghon ko ulat ya vomit ho skti hai jo unki health ko affect kr skta hai.
Aankhon mein jaln: Murghon ki aankhon mein jaln ya swelling ho skti hai jo unki vision ko affect kr skta hai.
Diagnosis
1. Physical Examination: Veterinarian murghon ka physical Examination krty hain jisme unka breathing system , khansi aur baki symptoms ko dekha jata hai
2. Laboratory Test: Veterinarian kuch laboratory test kr skty hain jyse k blood test, Swab test, PCR.
3. Imaging test: Veterinarian kuch imaging test kr sakte hain jyse k X_ray, Endoscopy (ye test respiratory tract ko examine krne k leay kia jata hai.
4. Serology Test: Veterinarian serology test kr skte hain jyse k ELISA test( ye test murghon me antibodies detect krny k leay kia jata hai
Treatment:
Infectious Bronchitis ke treatment k leay veterinarian kuch treatment options ka suggestions kar sakte hain:
1. Antibiotics: Antibiotics ko virus ki presence ko km krne aur secondary bacterial infections ko rokny k leay diya ja skta hai.
2. Antiviral drugs: Antiviral drugs ko virus ki presence ko km krny k leay dea ja skta hai.
3. Supportive drugs: Supportive care me murghon ko comfortable rakhna unhai pani kr khana khilana aur saaf-suthra rkha jana shamil hai.
4. Oxygen therapy: Oxygen therapy ko murghon ko saans lene mein masad krne ke liye diya ja skta hai.
5. Vaccination: Vaccination ko future mein Infectious Bronchitis se bachne ke lite diya ja skta hai.
6. Isolation: Isolation ko murghon ko alag rkhna, taaky ye bemari dusre murghon mein na phail sake.
7. Hydration: Hydration ko murghon ko dehydrate hone se bachane ke liye diya ja skta hai.
8. Anti-inflammatory drugs: Anti-inflammatory drugs murghon ko inflammation aur discomfort se bachne ki liye diya ja skta hai.
What's Your Reaction?